Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh-e-KHwab-e-shikasta ki lau hai maddham dekh

Maqsood Aafaque

charagh-e-KHwab-e-shikasta ki lau hai maddham dekh

Maqsood Aafaque

MORE BYMaqsood Aafaque

    charāġh-e-ḳhvāb-e-shikasta lau hai maddham dekh

    kabhī to aa mirī tanhā.iyoñ aalam dekh

    javāz DhūñD rahī haiñ ka.ī nigāheñ yahāñ

    ye terī marzī hai chāhe mujh ko kam-kam dekh

    hamāre shahr meñ sachchā.iyāñ muqayyad haiñ

    yaqīñ na aa.e to chal ā.inoñ mātam dekh

    abhī Thahar ai janāza paḌhāne vaale shaḳhs

    badan ke malbe ke nīche dabe hue ġham dekh

    yahāñ bhī mas.ala bai'at rahā hogā

    lahū meñ Duube hue haiñ hazāroñ parcham dekh

    yahāñ ke logoñ se ummīd rakh vafāoñ

    ki muddatoñ yahāñ badle nahīñ haiñ mausam dekh

    kabhī bhulā to diyā thā use magar 'āfāq'

    palak jhapakte kyuuñ aañkh ho ga.ī nam dekh

    charagh-e-KHwab-e-shikasta ki lau hai maddham dekh

    kabhi to aa meri tanhaiyon ka aalam dekh

    jawaz DhunD rahi hain kai nigahen yahan

    ye teri marzi hai tu chahe mujh ko kam-kam dekh

    hamare shahr mein sachchaiyan muqayyad hain

    yaqin na aae to chal aainon ka matam dekh

    abhi Thahar ai janaza paDhane wale shaKHs

    badan ke malbe ke niche dabe hue gham dekh

    yahan bhi masala bai'at ka hi raha hoga

    lahu mein Dube hue hain hazaron parcham dekh

    yahan ke logon se ummid rakh wafaon ki

    ki muddaton yahan badle nahin hain mausam dekh

    kabhi bhula to diya tha use magar 'afaq'

    palak jhapakte hi kyun aankh ho gai nam dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now