aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka

Siraj Aurangabadi

charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka

Siraj Aurangabadi

MORE BYSiraj Aurangabadi

    charāġh-e-mah siiñ raushan-tar hai husn-e-be-misāl us

    ki chauthe charḳh par ḳhurshīd hai aks-e-jamāl us

    sanam zulf ke halqe meñ hai jyuuñ jiim nuqta

    ajab hai ḳhush-numā us āriz-e-gulgūñ pe ḳhaal us

    ayaañ hotā hai jyūñ-kar sarv paanī ke kināre par

    huā yuuñ jalva-gar āñkhoñ meñ qadd-e-naunihāl us

    judā jab siiñ huā vo dilbar-e-jādū-nazar mujh siiñ

    judā hotā nahīñ yak aan ḳhātir siiñ ḳhayāl us

    mujhe hai aarzū dil meñ tirī chāh-e-zanaḳhdāñ

    nahīñ darkār hauz-e-kausar o āb-e-zulāl us

    giraftār-e-havas kyā lazzat-e-dīdār kuuñ paave

    judā jo kuī huā hai aap siiñ paayā visāl us

    'sirāj' ai shola-rū hai kaun so maiñ nahīñ vāqif

    mujhe kyā pūchhtā hai pūchh parvāne siiñ haal us

    charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka

    ki chauthe charKH par KHurshid hai aks-e-jamal us ka

    sanam ki zulf ke halqe mein hai jyun jim ka nuqta

    ajab hai KHush-numa us aariz-e-gulgun pe KHal us ka

    ayan hota hai jyun-kar sarw pani ke kinare par

    hua yun jalwa-gar aankhon mein qadd-e-naunihaal us ka

    juda jab sin hua wo dilbar-e-jadu-nazar mujh sin

    juda hota nahin yak aan KHatir sin KHayal us ka

    mujhe hai aarzu dil mein teri chah-e-zanaKHdan ki

    nahin darkar hauz-e-kausar o aab-e-zulal us ka

    giraftar-e-hawas kya lazzat-e-didar kun pawe

    juda jo kui hua hai aap sin paya visal us ka

    'siraj' ai shola-ru hai kaun sa so main nahin waqif

    mujhe kya puchhta hai puchh parwane sin haal us ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now