Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh ghar mein jala nahin hai

Ambareen Haseeb ambar

charagh ghar mein jala nahin hai

Ambareen Haseeb ambar

MORE BYAmbareen Haseeb ambar

    charāġh ghar meñ jalā nahīñ hai

    ye raat mas.ala nahīñ hai

    ye raat tum se nahīñ kaTegī

    ye hijr hai rat-jagā nahīñ hai

    dalīl mantiq nahīñ chalegī

    ye ishq hai falsafa nahīñ hai

    ye ishq hai bandagī samajh mat

    aadmī hai ḳhudā nahīñ hai

    hai rañj kyoñ hāl-e-dil pe āḳhir

    ye qissa ne sunā nahīñ hai

    ḳhud apne dushman haiñ log saare

    nahīñ koī dūsrā nahīñ hai

    havā se lau thartharā ga.ī thī

    charāġh lekin bujhā nahīñ hai

    charagh ghar mein jala nahin hai

    ye raat ka masala nahin hai

    ye raat tum se nahin kaTegi

    ye hijr hai rat-jaga nahin hai

    dalil mantiq nahin chalegi

    ye ishq hai falsafa nahin hai

    ye ishq hai bandagi samajh mat

    tu aadmi hai KHuda nahin hai

    hai ranj kyon haal-e-dil pe aaKHir

    ye qissa tu ne suna nahin hai

    KHud apne dushman hain log sare

    nahin koi dusra nahin hai

    hawa se lau tharthara gai thi

    charagh lekin bujha nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now