Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh jab se mere tirgi se haar gae

Wafa Naqvi

charagh jab se mere tirgi se haar gae

Wafa Naqvi

MORE BYWafa Naqvi

    charāġh jab se mire tīrgī se haar ga.e

    havā se haath milāne ko saare yaar ga.e

    har ek baar safar merā muḳhtasar kyuuñ thā

    safīne mujh ko sāhil pe kyuuñ utaar ga.e

    tirī sarā.e meñ sāmāñ kahāñ sukūn thā

    kisī tarah se musāfir bhī shab guzār ga.e

    maiñ jin ko saa.e meñ rakhtā thā tapte sahrā meñ

    ġhazab hai log vahī mujh pe sañg maar ga.e

    huī jo shaam to lauTe vatan meñ apne

    parinde yuuñ to bahut sarhadoñ ke paar ga.e

    burīda-sar nahīñ the lahū meñ Duube hue

    sunā hai neze adū ke bhī ashk-bār ga.e

    badan pe sab ke qabā.eñ thiiñ surḳh āñkhoñ

    ajab tarah se ḳhizāoñ meñ gul-e-ezār ga.e

    charagh jab se mere tirgi se haar gae

    hawa se hath milane ko sare yar gae

    har ek bar safar mera muKHtasar kyun tha

    safine mujh ko hi sahil pe kyun utar gae

    teri sarae mein saman kahan sukun ka tha

    kisi tarah se musafir bhi shab guzar gae

    main jin ko sae mein rakhta tha tapte sahra mein

    ghazab hai log wahi mujh pe sang mar gae

    hui jo sham to lauTe watan mein apne hi

    parinde yun to bahut sarhadon ke par gae

    burida-sar hi nahin the lahu mein Dube hue

    suna hai neze adu ke bhi ashk-bar gae

    badan pe sab ke qabaen thin surKH aankhon ki

    ajab tarah se KHizaon mein gul-e-ezar gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now