Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

charagh jal bhi raha hai hawa ka Dar bhi hai

Abdullah Nadeem

charagh jal bhi raha hai hawa ka Dar bhi hai

Abdullah Nadeem

MORE BYAbdullah Nadeem

    charāġh jal bhī rahā hai havā Dar bhī hai

    mirī duāoñ pe lekin tirī nazar bhī hai

    gharoñ ko phūñkne vaale zarā ye dekh bhī le

    usī galī meñ sunā hai ki terā ghar bhī hai

    maiñ ghar se niklūñ to be-ḳhauf ho nikaltā huuñ

    ki merī maañ duā merī ham-safar bhī hai

    abhī se fitna-e-duniyā se Dar ga.e yaaro

    abhī to fitna-e-aflāk ḳhabar bhī hai

    usī ke pyaar se raushan hai zindagī merī

    usī ke pyaar se lekin bahut Dar bhī hai

    'nadīm' aas meñ baiThe ki phir se uTTheñ

    ki us ke haath meñ sunte haiñ ye hunar bhī hai

    charagh jal bhi raha hai hawa ka Dar bhi hai

    meri duaon pe lekin teri nazar bhi hai

    gharon ko phunkne wale zara ye dekh bhi le

    usi gali mein suna hai ki tera ghar bhi hai

    main ghar se niklun to be-KHauf ho nikalta hun

    ki meri man ki dua meri ham-safar bhi hai

    abhi se fitna-e-duniya se Dar gae yaro

    abhi to fitna-e-aflak ki KHabar bhi hai

    usi ke pyar se raushan hai zindagi meri

    usi ke pyar se lekin bahut sa Dar bhi hai

    'nadim' aas mein baiThe ki phir se ji uTThen

    ki us ke hath mein sunte hain ye hunar bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now