charagahen nai aabaad hongi
charāgāheñ na.ī ābād hoñgī
magar jo bastiyāñ barbād hoñgī
maiñ in āñkhoñ ko paḌh kar sochtā huuñ
ye nazmeñ kis tarah se yaad hoñgī
kabhī phāñsī nahīñ leñge dupaTTe
ye saarī laḌkiyāñ āzād hoñgī
charagahen nai aabaad hongi
magar jo bastiyan barbaad hongi
main in aankhon ko paDh kar sochta hun
ye nazmen kis tarah se yaad hongi
kabhi phansi nahin lenge dupaTTe
ye sari laDkiyan aazad hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.