Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-millat mein makin kaun hai aagha shorish

Meem Hasan Lateefi

chashm-e-millat mein makin kaun hai aagha shorish

Meem Hasan Lateefi

MORE BYMeem Hasan Lateefi

    Interesting Fact

    In praise of Agha Sorish Kashmiri

    chashm-e-millat meñ makīñ kaun hai aaġhā shorish

    gosha-e-dil ke qarīñ kaun hai aaġhā shorish

    sher-o-inshā bahāreñ haiñ bahāreñ jis se

    vo bahāroñ se hasīñ kaun hai aaġhā shorish

    jis pe be-tūl ḳhazāne bhī luTā ke na huuñ ser

    be-bahā durr-e-samīñ kaun hai aaġhā shorish

    jis jāñkāhī-e-īsār se zindāñ bhī thā tuur

    vo daraḳhshanda nagīñ kaun hai aaġhā shorish

    kis bebākī-e-kirdār hai īmāñ afroz

    ġhairat-e-dair-nashīñ kaun hai aaġhā shorish

    jis ko europe muqāmir na kabhī jiit sake

    nard-e-nā-said-e-makīñ kaun hai aaġhā shorish

    jis javāñ-fikr taqrīr se bātil larze

    vo javāñ azm-o-yaqīñ kaun hai aaġhā shorish

    kis kirnoñ meñ na.e sānehe paḌh sakte haiñ

    hind tāb-e-jabīñ kaun hai aaġhā shorish

    azm-e-īsār ik paikar-e-bedār-o-buland

    hamdam-e-zār-o-hazīñ kaun hai aaġhā shorish

    pūchhā saaqī se mai-e-tund ne mastī chillā.ī

    mard-e-pā.inda-tarīñ kaun hai aaġhā shorish

    shorisheñ aap haiñ ma.anī-e-nau se labrez

    amn-e-ālam amiiñ kaun hai aaġhā shorish

    chashm-e-millat mein makin kaun hai aagha shorish

    gosha-e-dil ke qarin kaun hai aagha shorish

    sher-o-insha ki bahaaren hain bahaaren jis se

    wo bahaaron se hasin kaun hai aagha shorish

    jis pe be-tul KHazane bhi luTa ke na hun ser

    be-baha durr-e-samin kaun hai aagha shorish

    jis ki jaankahi-e-isar se zindan bhi tha tur

    wo daraKHshanda nagin kaun hai aagha shorish

    kis ki bebaki-e-kirdar hai iman afroz

    ghairat-e-dair-nashin kaun hai aagha shorish

    jis ko europe ka muqamir na kabhi jit sake

    nard-e-na-said-e-makin kaun hai aagha shorish

    jis jawan-fikr ki taqrir se baatil larze

    wo jawan azm-o-yaqin kaun hai aagha shorish

    kis ki kirnon mein nae sanehe paDh sakte hain

    hind ki tab-e-jabin kaun hai aagha shorish

    azm-e-isar ka ek paikar-e-bedar-o-buland

    hamdam-e-zar-o-hazin kaun hai aagha shorish

    puchha saqi se mai-e-tund ne masti chillai

    mard-e-painda-tarin kaun hai aagha shorish

    shorishen aap ki hain mani-e-nau se labrez

    amn-e-alam ka amin kaun hai aagha shorish

    Source:

    Latifiyat(Part-003) (Pg. 125)

    • Author: Meem Hasan Lateefi
      • Edition: 1989
      • Publisher: Mavara Books, Lahore
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now