Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-nam ho to umanD aate hain dariya munh par

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

chashm-e-nam ho to umanD aate hain dariya munh par

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    chashm-e-nam ho to umañD aate haiñ dariyā muñh par

    khīñchiye aah to aatā hai kalejā muñh par

    ḳhāl-e-ruḳhsār ko tere nahīñ dekhā jaise

    sau qasam liije jo ik daana ho rakkhā muñh par

    rū-e-gul-rang pe āḳhir ḳhat-e-sabz aa gayā

    hai masal jis se Dare phir vahī aaya muñh par

    ḳhvāb gūñge huā yaar shikva goyā

    dil meñ phirtā hai magar nahīñ saktā muñh par

    kal jo tum bose pe bigḌe the ki kis vaqt kahāñ

    le ke muñh apnā rah jaate jo kahtā muñh par

    ham se yuuñ kaḌvī raqīboñ se ye mīThī bāteñ

    jhuuT kyā zahr hai sach baat kahnā muñh par

    jalāte haiñ hasīñ kaun muñh aisoñ ke lage

    koī detā nahīñ angāre ke bosā muñh par

    evaz-e-bosa mazā thā jo vo gaalī detā

    lāl-e-lab muñh mire lagtā to maiñ chaḌhtā muñh par

    pāk-bāzoñ se hijāb aap ko be-vaj.h nahīñ

    dil meñ ho sharm to hai aañkh pardā muñh par

    sūrat-e-nai kabhī ġhībat meñ na dam māreñge

    saaf jo ho.egā dil vo kahegā muñh par

    nāma-bar ko to sunānī thī safā ġhībat meñ

    ḳhat ke aane sunāyā hameñ fiqrā muñh par

    chashm-e-nam ho to umanD aate hain dariya munh par

    khinchiye aah to aata hai kaleja munh par

    KHal-e-ruKHsar ko tere nahin dekha jaise

    sau qasam lije jo ek dana ho rakkha munh par

    ru-e-gul-rang pe aaKHir KHat-e-sabz aa hi gaya

    hai masal jis se Dare phir wahi aaya munh par

    KHwab gunge ka hua yar ka shikwa goya

    dil mein phirta hai magar la nahin sakta munh par

    kal jo tum bose pe bigDe the ki kis waqt kahan

    le ke munh apna sa rah jate jo kahta munh par

    hum se yun kaDwi raqibon se ye miThi baaten

    jhuT kya zahr hai sach baat ka kahna munh par

    ji jalate hain hasin kaun munh aison ke lage

    koi deta nahin angare ke bosa munh par

    ewaz-e-bosa maza tha jo wo gali deta

    lal-e-lab munh mere lagta to main chaDhta munh par

    pak-bazon se hijab aap ko be-wajh nahin

    dil mein ho sharm to hai aankh ka parda munh par

    surat-e-nai kabhi ghibat mein na dam marenge

    saf jo hoega dil ka wo kahega munh par

    nama-bar ko to sunani thi safa ghibat mein

    KHat ke aane ka sunaya hamein fiqra munh par

    Source:

    Deewan-e-Naseem (Pg. 18)

    • Author: Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
      • Publisher: Matba Gulshan-e-Faiz, Lucknow
      • Year of Publication: 1895
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now