chashm-e-tar le ke gar gae hote
chashm-e-tar le ke gar ga.e hote
jaam be-āb bhar ga.e hote
bojh kashtī pe hai agar kahte
ḳhāmushī se utar ga.e hote
itnī uftād aur chup itnī
pyaas hotī to mar ga.e hote
ik takalluf meñ hai bharam varna
rang saare utar ga.e hote
ek muddat se hai makāñ ḳhālī
koī hotā to ghar ga.e hote
zinda rahne ke mā-sivā.e 'sabā'
kaam koī to kar ga.e hote
chashm-e-tar le ke gar gae hote
jam be-ab bhar gae hote
bojh kashti pe hai agar kahte
KHamushi se utar gae hote
itni uftad aur chup itni
pyas hoti to mar gae hote
ek takalluf mein hai bharam warna
rang sare utar gae hote
ek muddat se hai makan KHali
koi hota to ghar gae hote
zinda rahne ke ma-siwae 'saba'
kaam koi to kar gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.