Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm-e-wahshat ye teri girya-o-zari kam hai

Arif Imam

chashm-e-wahshat ye teri girya-o-zari kam hai

Arif Imam

MORE BYArif Imam

    chashm-e-vahshat ye tirī girya-o-zārī kam hai

    ġham ziyāda hai magar sīna-figārī kam hai

    itnā chillā.eñ ki qātil rageñ phaT jaa.eñ

    rone vaalo abhī āvāz hamārī kam hai

    is liye baḌhtī chalī jaatī hai lāshoñ qatār

    merī fursat ke liye zaḳhm-shumārī kam hai

    chīḳhte haiñ badan-e-tifl se zaḳhmoñ ke nishān

    itnī shamshīroñ meñ shamshīr tumhārī kam hai

    kyoñ nahīñ hotā adū par mire hamloñ asar

    haath halkā hai ki talvār ye bhārī kam hai

    chappe chappe pe hai kuchlī huī kaliyoñ lahū

    is gulistāñ ke liye bād-e-bahārī kam hai

    mere ġham-ḳhāne mausam hai badalne vaalā

    hai rajaz-ḳhvānī fuzūñ nauha-nigārī kam hai

    mere chehre se na andāza lagānā ki ye umr

    mujh pe biitī hai bahut maiñ ne guzārī kam hai

    raḳhsh-e-jāñ mujh ko qayāmat safar hai darpesh

    is masāfat ko faqat ek savārī kam hai

    qāfila kuuch ko tayyār hai ghar jānib

    sab haiñ maujūd magar ek amārī kam hai

    chashm-e-wahshat ye teri girya-o-zari kam hai

    gham ziyaada hai magar sina-figari kam hai

    itna chillaen ki qatil ki ragen phaT jaen

    rone walo abhi aawaz hamari kam hai

    is liye baDhti chali jati hai lashon ki qatar

    meri fursat ke liye zaKHm-shumari kam hai

    chiKHte hain badan-e-tifl se zaKHmon ke nishan

    itni shamshiron mein shamshir tumhaari kam hai

    kyon nahin hota adu par mere hamlon ka asar

    hath halka hai ki talwar ye bhaari kam hai

    chappe chappe pe hai kuchli hui kaliyon ka lahu

    is gulistan ke liye baad-e-bahaari kam hai

    mere gham-KHane ka mausam hai badalne wala

    hai rajaz-KHwani fuzun nauha-nigari kam hai

    mere chehre se na andaza lagana ki ye umr

    mujh pe biti hai bahut main ne guzari kam hai

    raKHsh-e-jaan mujh ko qayamat ka safar hai darpesh

    is masafat ko faqat ek sawari kam hai

    qafila kuch ko tayyar hai ghar ki jaanib

    sab hain maujud magar ek amari kam hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now