Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chashm tar hoti hai jab zikr tera hota hai

Al-Haaj Al-Hafiz

chashm tar hoti hai jab zikr tera hota hai

Al-Haaj Al-Hafiz

MORE BYAl-Haaj Al-Hafiz

    chashm tar hotī hai jab zikr tirā hotā hai

    huuk uThtī hai to kuchh dard sivā hotā hai

    qatra dariyā se judā ho ke havā hotā hai

    hijr taab na laayā vo fanā hotā hai

    raas aaya na kabhī ham ko tabīboñ ilaaj

    jitnī piitā huuñ davā dard sivā hotā hai

    jab hai āġhāz-e-mohabbat meñ aisī hālat

    haal ab dekhiye anjām meñ kyā hotā hai

    terī bhī chaal se uThte haiñ hazāroñ fitne

    mere nāloñ se agar hashr bapā hotā hai

    bebasī par mujhe ronā bhī nadāmat bhī hai

    kis bure vaqt meñ zālim judā hotā hai

    be-vafāoñ nazar kuchh merī taqdīr nahīñ

    vo nazar pher leñ sau martaba kyā hotā hai

    maanā yaktā-e-zamāna ho magar kyoñ sāhib

    husn hone se bhalā goī ḳhudā hotā hai

    kyoñ ḳhafā ho ga.e ik zikr-e-sitam to thā

    dostoñ meñ to ai jaan gila hotā hai

    aisī ThanDī havā barsāt rut dekh zarā

    aisī hālat meñ kahāñ koī judā hotā hai

    raaz kyā hai jo unheñ aaj mohabbat uTThī

    hai to kuchh baat jo ye uzr-e-jafā hotā hai

    hashr meñ vāda-e-dīdār to kuchh Thiik nahīñ

    aaj dikhlāne meñ sūrat unheñ kyā hotā hai

    rind-e-mai-nosh hai 'dīvān' ḳhudā banda

    mat burā kah use kyoñ muft burā hotā hai

    chashm tar hoti hai jab zikr tera hota hai

    huk uThti hai to kuchh dard siwa hota hai

    qatra dariya se juda ho ke hawa hota hai

    hijr ki tab na laya wo fana hota hai

    ras aaya na kabhi hum ko tabibon ka ilaj

    jitni pita hun dawa dard siwa hota hai

    jab hai aaghaz-e-mohabbat mein hi aisi haalat

    haal ab dekhiye anjam mein kya hota hai

    teri bhi chaal se uThte hain hazaron fitne

    mere nalon se agar hashr bapa hota hai

    bebasi par mujhe rona bhi nadamat bhi hai

    kis bure waqt mein zalim tu juda hota hai

    be-wafaon ki nazar kuchh meri taqdir nahin

    wo nazar pher len sau martaba kya hota hai

    mana yakta-e-zamana ho magar kyon sahib

    husn hone se bhala goi KHuda hota hai

    kyon KHafa ho gae ek zikr-e-sitam hi to tha

    doston hi mein to ai jaan gila hota hai

    aisi ThanDi hawa barsat ki rut dekh zara

    aisi haalat mein kahan koi juda hota hai

    raaz kya hai jo unhen aaj mohabbat uTThi

    hai to kuchh baat jo ye uzr-e-jafa hota hai

    hashr mein wada-e-didar to kuchh Thik nahin

    aaj dikhlane mein surat unhen kya hota hai

    rind-e-mai-nosh hai 'diwan' KHuda ka banda

    mat bura kah use kyon muft bura hota hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now