chaudhariyon ke hawas-kade mein ek muTiyar akeli hai
chaudhariyoñ ke havas-kade meñ ik muTiyār akelī hai
kitnī baḌī hai lekin phir bhī kaisī tang havelī hai
mujh ko parindoñ kī nagrī meñ chhoḌ ke jaanā hai to jā
sā.īñ merī fikr na karnā merā allah belī hai
ek bhikāran bachchī ne ye 'uzr 'ajīb sā pesh kiyā
baabū mujh ko paise de de merī maañ sautelī hai
rote rote jis ke liye ik 'umr rahā huuñ maiñ zinda
aaj milā to hañs kar us se zahr kī puḌiyā le lī hai
kaise us āñgan ko 'āsim' kamre meñ tabdīl karūñ
jis meñ chiḌiyā aur titlī se merī beTī khelī hai
chaudhariyon ke hawas-kade mein ek muTiyar akeli hai
kitni baDi hai lekin phir bhi kaisi tang haweli hai
mujh ko parindon ki nagri mein chhoD ke jaana hai to ja
sain meri fikr na karna mera allah beli hai
ek bhikaran bachchi ne ye 'uzr 'ajib sa pesh kiya
babu mujh ko paise de de meri man sauteli hai
rote rote jis ke liye ek 'umr raha hun main zinda
aaj mila to hans kar us se zahr ki puDiya le li hai
kaise us aangan ko 'asim' kamre mein tabdil karun
jis mein chiDiya aur titli se meri beTi kheli hai
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 58)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.