chehra koi bhi aankh mein Thahra na phir kabhi
chehra koī bhī aañkh meñ Thahrā na phir kabhī
dil ne kisī bhī shaḳhs ko chāhā na phir kabhī
rūThā zarā sī baat pe uTh kar chalā gayā
aisā gayā ki lauT ke aaya na phir kabhī
kuchh yuuñ milā tapāk se bas ishq ho gayā
vo ajnabī thā kaun thā sochā na phir kabhī
us ne bataur tohfa diyā thā libās-e-hijr
pahnā jo ek baar utārā na phir kabhī
dekhe za.iif kāñdhoñ pe mehnat ke jab nishāñ
bachchoñ ne kuchh bhī baap se māñgā na phir kabhī
daulat milī to chhin ga.ī ehsās kī qabā
us ne mirā mizāj bhī pūchhā na phir kabhī
'nāzish' guzar chukā thā had-e-e'tidāl se
jaane kahāñ gayā use dekhā na phir kabhī
chehra koi bhi aankh mein Thahra na phir kabhi
dil ne kisi bhi shaKHs ko chaha na phir kabhi
ruTha zara si baat pe uTh kar chala gaya
aisa gaya ki lauT ke aaya na phir kabhi
kuchh yun mila tapak se bas ishq ho gaya
wo ajnabi tha kaun tha socha na phir kabhi
us ne bataur tohfa diya tha libas-e-hijr
pahna jo ek bar utara na phir kabhi
dekhe zaif kandhon pe mehnat ke jab nishan
bachchon ne kuchh bhi bap se manga na phir kabhi
daulat mili to chhin gai ehsas ki qaba
us ne mera mizaj bhi puchha na phir kabhi
'nazish' guzar chuka tha had-e-e'tidal se
jaane kahan gaya use dekha na phir kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.