Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chehra un ka subh-e-raushan gesu jaise kali raat

Nazar Lakhnawi

chehra un ka subh-e-raushan gesu jaise kali raat

Nazar Lakhnawi

MORE BYNazar Lakhnawi

    chehra un sub.h-e-raushan gesū jaise kaalī raat

    bāteñ un sub.hān-allāh goyā qur.āñ āyāt

    ruḳh jalva pinhāñ rakkhā paidā kar ke maḳhlūqāt

    husn-e-zāhir sab ne dekhā kis ne dekhā husn-e-zāt

    jazbe sab garmī sardī bahte ashkoñ barsāt

    ham ne saare mausam dekhe ham par guzre sab hālāt

    ġham saarī chāleñ gahrī bachte bachte āḳhir-kār

    dekhā is bechāre dil ne bebas ho kar khaa.ī maat

    jīte-jī kab duniyā pūchhe marte is darja pyaar

    hāthoñ-hāth uThā.e duniyā laa.e ashkoñ sauġhāt

    husn-e-ḳhud-bīñ jis fitrat sheḳhī shoḳhī zulm-o-jaur

    dām-e-ulfat meñ phañs jaa.e merī āñkhoñ dekhī baat

    umr-e-pāyāñ manzil meñ ahd-e-māzī aa.e yaad

    ab bhī 'nazar' meñ raqsāñ mere bhūle bachpan ke lamhāt

    chehra un ka subh-e-raushan gesu jaise kali raat

    baaten un ki subhan-allah goya quran ki aayat

    ruKH ka jalwa pinhan rakkha paida kar ke maKHluqat

    husn-e-zahir sab ne dekha kis ne dekha husn-e-zat

    jazbe ki sab garmi sardi bahte ashkon ki barsat

    hum ne sare mausam dekhe hum par guzre sab haalat

    gham ki sari chaalen gahri bachte bachte aaKHir-kar

    dekha is bechaare dil ne bebas ho kar khai mat

    jite-ji kab duniya puchhe marte hi is darja pyar

    hathon-hath uThae duniya lae ashkon ki saughat

    husn-e-KHud-bin jis ki fitrat sheKHi shoKHi zulm-o-jaur

    dam-e-ulfat mein phans jae meri aankhon dekhi baat

    umr-e-payan ki manzil mein ahd-e-mazi aae yaad

    ab bhi 'nazar' mein raqsan mere bhule bachpan ke lamhat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now