Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chehre pe mere rang pareshaniyon ka hai

Murtaza Barlas

chehre pe mere rang pareshaniyon ka hai

Murtaza Barlas

MORE BYMurtaza Barlas

    chehre pe mere rañg pareshāniyoñ hai

    dariyā meñ saarā zor tuġhyāniyoñ hai

    ḳhud rahbarān-e-qaum haiñ ālā.ishoñ meñ gum

    ham se magar mutāliba qurbāniyoñ hai

    ahbāb mere is tarah mujh par haiñ ta.ana-zan

    jaise ḳhulūs naam nādāniyoñ hai

    sāhil jo kaT ke girte haiñ dariyā god meñ

    kyā ye qusūr bahte hue pāniyoñ hai

    insāñ nahīñ hai koī bhī saa.e zarūr haiñ

    manzar har ek shahr meñ vīrāniyoñ hai

    kuchh ḳhauf-e-ehtisāb na suud o ziyāñ Dar

    ye fā.eda to be-sar-o-sāmāniyoñ hai

    chehre pe mere rang pareshaniyon ka hai

    dariya mein sara zor hi tughyaniyon ka hai

    KHud rahbaran-e-qaum hain aalaishon mein gum

    hum se magar mutaliba qurbaniyon ka hai

    ahbab mere is tarah mujh par hain tana-zan

    jaise KHulus nam hi nadaniyon ka hai

    sahil jo kaT ke girte hain dariya ki god mein

    kya ye qusur bahte hue paniyon ka hai

    insan nahin hai koi bhi sae zarur hain

    manzar har ek shahr mein viraniyon ka hai

    kuchh KHauf-e-ehtisab na sud o ziyan ka Dar

    ye faeda to be-sar-o-samaniyon ka hai

    Source:

    kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 55)

    • Author: Murtaza Barlas
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publication Lahore
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now