aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chehre se numayan hai ek ek ada gham ki

Chandra Parkash Jauhar Bijnauri

chehre se numayan hai ek ek ada gham ki

Chandra Parkash Jauhar Bijnauri

MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri

    chehre se numāyāñ hai ek ek adā ġham

    insāñ jise kahte haiñ tasvīr hai mātam

    kyoñ ham ko Darāte ho āshob-e-jahannum se

    duniyā bhī to āḳhir hai ik shakl jahannum

    majbūrī-o-māzūrī mahrūmī-o-nākāmī

    āḳhir koī had bhī hai is silsila-e-ġham

    har aan muqābil hai ye mahr-e-daraḳhshāñ ke

    jur.at to koī dekhe ik qatra-e-shabnam

    jannat se nikal kar phir jannat na milī us ko

    kyā kyā abhī likkhā hai taqdīr meñ aadam

    darkār hai getī ko phir taaza lahū shāyad

    surḳhī yahī kahtī hai afsāna-e-ālam

    girdāb meñ ai 'jauhar' ye kis safīna hai

    maujoñ ke talātum meñ āvāz hai mātam

    chehre se numayan hai ek ek ada gham ki

    insan jise kahte hain taswir hai matam ki

    kyon hum ko Daraate ho aashob-e-jahannum se

    duniya bhi to aaKHir hai ek shakl jahannum ki

    majburi-o-mazuri mahrumi-o-nakaami

    aaKHir koi had bhi hai is silsila-e-gham ki

    har aan muqabil hai ye mahr-e-daraKHshan ke

    jurat to koi dekhe ek qatra-e-shabnam ki

    jannat se nikal kar phir jannat na mili us ko

    kya kya abhi likkha hai taqdir mein aadam ki

    darkar hai geti ko phir taza lahu shayad

    surKHi yahi kahti hai afsana-e-alam ki

    girdab mein ai 'jauhar' ye kis ka safina hai

    maujon ke talatum mein aawaz hai matam ki

    Source:

    Auraq-e-Gul (Pg. 98)

    • Author: Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
      • Publisher: Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now