Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chehron ko be-naqab samajhne laga tha main

Hosh Jaunpuri

chehron ko be-naqab samajhne laga tha main

Hosh Jaunpuri

MORE BYHosh Jaunpuri

    chehroñ ko be-naqāb samajhne lagā thā maiñ

    sab ko khulī kitāb samajhne lagā thā maiñ

    jalnā chāhiye thā mujhe aur jal gayā

    añgāroñ ko gulāb samajhne lagā thā maiñ

    ye kyā huā ki niiñd āñkhoñ se uḌ ga.ī

    kuchh kuchh zabān-e-ḳhvāb samajhne lagā thā maiñ

    apnī raushnī se nazar khā ga.ī fareb

    zarroñ ko āftāb samajhne lagā thā maiñ

    phir kyuuñ sazā-e-tishna-labī ga.ī mujhe

    paanī ko bhī sharāb samajhne lagā thā maiñ

    buniyād apne ghar fazāoñ meñ Daal

    bastī ko zer-e-āb samajhne lagā thā maiñ

    mujh se ho ga.ī hai savāl-e-vafā bhuul

    duniyā ko lā-javāb samajhne lagā thā maiñ

    chehron ko be-naqab samajhne laga tha main

    sab ko khuli kitab samajhne laga tha main

    jalna hi chahiye tha mujhe aur jal gaya

    angaron ko gulab samajhne laga tha main

    ye kya hua ki nind hi aankhon se uD gai

    kuchh kuchh zaban-e-KHwab samajhne laga tha main

    apni hi raushni se nazar kha gai fareb

    zarron ko aaftab samajhne laga tha main

    phir kyun saza-e-tishna-labi di gai mujhe

    pani ko bhi sharab samajhne laga tha main

    buniyaad apne ghar ki fazaon mein Dal di

    basti ko zer-e-ab samajhne laga tha main

    mujh se hi ho gai hai sawal-e-wafa ki bhul

    duniya ko la-jawab samajhne laga tha main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now