Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chehron pe khuli dhup saja kar jo gaya hai

Tasneem Hasan

chehron pe khuli dhup saja kar jo gaya hai

Tasneem Hasan

MORE BYTasneem Hasan

    chehroñ pe khulī dhuup sajā kar jo gayā hai

    ab shahr meñ sūraj bhī use DhūñD rahā hai

    maiñ ḳhush huuñ bahut kāñch poshāk pahan kar

    patthar se jo Takrā.ī hai vo merī sadā hai

    vo shaḳhs jo ā.īna thā chehroñ ke jahāñ meñ

    bikhrā to kisī se bhī sameTā na gayā hai

    ghar us hai darvāza bhī dastak bhī usī

    āvāz ke rishtoñ meñ vahī shahr-e-duā hai

    haath us har ik soch mirī thaam rahā hai

    vo shaḳhs mirī zaat meñ mujh se bhī baḌā hai

    ik abr TukḌā jo tirī yaad guzrā

    ehsās sūkhā huā jangal bhī harā hai

    shīshe koī ghar thā na dil koī āvāz

    phir kyoñ ye sar-e-rāh chhanākā huā hai

    chehron pe khuli dhup saja kar jo gaya hai

    ab shahr mein suraj bhi use DhunD raha hai

    main KHush hun bahut kanch ki poshak pahan kar

    patthar se jo Takrai hai wo meri sada hai

    wo shaKHs jo aaina tha chehron ke jahan mein

    bikhra to kisi se bhi sameTa na gaya hai

    ghar us ka hai darwaza bhi dastak bhi usi ki

    aawaz ke rishton mein wahi shahr-e-dua hai

    hath us ka har ek soch meri tham raha hai

    wo shaKHs meri zat mein mujh se bhi baDa hai

    ek abr ka TukDa jo teri yaad ka guzra

    ehsas ka sukha hua jangal bhi hara hai

    shishe ka koi ghar tha na dil ki koi aawaz

    phir kyon ye sar-e-rah chhanaka sa hua hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now