chhane KHub samundar sare
chhāne ḳhuub samundar saare
ḳhud meñ nikle gauhar saare
be-his jism kināre utrā
Duube dekh shanāvar saare
ek havā kā jhoñkā aayā
rah ga.e ḳhvāb bikhar kar saare
koī barsoñ phuuT ke royā
ḳhat ik raat jalā kar saare
kahāñ ga.ī vo merī duniyā
ruuTh ga.e kyoñ manzar saare
uf ye kyā kah baiThā maiñ bhī
taḌap rahe haiñ ḳhanjar saare
chhane KHub samundar sare
KHud mein nikle gauhar sare
be-his jism kinare utra
Dube dekh shanawar sare
ek hawa ka jhonka aaya
rah gae KHwab bikhar kar sare
koi barson phuT ke roya
KHat ek raat jala kar sare
kahan gai wo meri duniya
ruTh gae kyon manzar sare
uf ye kya kah baiTha main bhi
taDap rahe hain KHanjar sare
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 36)
- Author :Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.