Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhanw ki shakl dhup ki rangat badal gai

Farooq Shafaq

chhanw ki shakl dhup ki rangat badal gai

Farooq Shafaq

MORE BYFarooq Shafaq

    chhāñv shakl dhuup rañgat badal ga.ī

    ab ke vo chalī hai ki sūrat badal ga.ī

    hañsnā hañsānā apnā mashīnī amal huā

    badlī havā-e-shahr to aadat badal ga.ī

    achchhā suiT jism par apne sajā ke vo

    ḳhush hai ki jaise ghar bhī hālat badal ga.ī

    sar ko chhupāyā paañv bhī khulne nahīñ diyā

    ḳhvāhish baḌhī to apnī zarūrat badal ga.ī

    nazzāra-e-nigāh hai ye jaltā-bujhtā din

    kuchh ġham nahīñ jo raat dāvat badal ga.ī

    ab guftugū meñ beach se ġhā.eb hai aadmī

    ham tak to aate aate rivāyat badal ga.ī

    chhanw ki shakl dhup ki rangat badal gai

    ab ke wo lu chali hai ki surat badal gai

    hansna hansana apna mashini amal hua

    badli hawa-e-shahr to aadat badal gai

    achchha sa suiT jism par apne saja ke wo

    KHush hai ki jaise ghar ki bhi haalat badal gai

    sar ko chhupaya panw bhi khulne nahin diya

    KHwahish baDhi to apni zarurat badal gai

    nazzara-e-nigah hai ye jalta-bujhta din

    kuchh gham nahin jo raat ki dawat badal gai

    ab guftugu mein beach se ghaeb hai aadmi

    hum tak to aate aate riwayat badal gai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 733)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now