Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai

Meer Taqi Meer

chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    chhātī jalā kare hai soz-e-darūñ balā hai

    ik aag rahe hai kyā jāniye ki kyā hai

    maiñ aur haiñ donoñ majbūr-e-taur apne

    pesha tirā jafā hai sheva mirā vafā hai

    rū-e-suḳhan hai kīdhar ahl-e-jahāñ rab

    sab muttafiq haiñ is par har ek ḳhudā hai

    kuchh be-sabab nahīñ hai ḳhātir mirī pareshāñ

    dil alam judā hai ġham jaan judā hai

    husn un bhī moīnoñ thā aap sūratoñ meñ

    is martabe se aage koī chale to kyā hai

    shādī se ġham-e-jahāñ meñ vo chand ham ne paayā

    hai iid ek din to das roz yaañ dahā hai

    hai ḳhasam-jān-e-āshiq vo mahv-e-nāz lekin

    har lamha be-adā.ī ye bhī to ik adā hai

    ho jaa.e yaas jis meñ so āshiqī hai varna

    har ranj ko shifā hai har dard ko davā hai

    nāyāb us guhar kyā hai talāsh āsāñ

    Dūbtā hai us jo tah se āshnā hai

    mushfiq malāz o qibla kaaba ḳhudā payambar

    jis ḳhat meñ shauq se maiñ kyā kyā use likhā hai

    tāsīr-e-ishq dekho vo naama vaañ pahuñch kar

    juuñ kāġhaz-e-havā.ī har uḌā phirā hai

    hai garche tifl-e-maktab vo shoḳh abhī to lekin

    jis se milā hai us ustād ho milā hai

    phirte ho 'mīr' sāhab sab se jude jude tum

    shāyad kahīñ tumhārā dil in dinoñ lagā hai

    chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai

    ek aag si rahe hai kya jaaniye ki kya hai

    main aur tu hain donon majbur-e-taur apne

    pesha tera jafa hai shewa mera wafa hai

    ru-e-suKHan hai kidhar ahl-e-jahan ka ya rab

    sab muttafiq hain is par har ek ka KHuda hai

    kuchh be-sabab nahin hai KHatir meri pareshan

    dil ka alam juda hai gham jaan ka juda hai

    husn un bhi moinon ka tha aap hi suraton mein

    is martabe se aage koi chale to kya hai

    shadi se gham-e-jahan mein wo chand hum ne paya

    hai id ek din to das roz yan daha hai

    hai KHasam-jaan-e-ashiq wo mahw-e-naz lekin

    har lamha be-adai ye bhi to ek ada hai

    ho jae yas jis mein so aashiqi hai warna

    har ranj ko shifa hai har dard ko dawa hai

    nayab us guhar ki kya hai talash aasan

    ji Dubta hai us ka jo tah se aashna hai

    mushfiq malaz o qibla kaba KHuda payambar

    jis KHat mein shauq se main kya kya use likha hai

    tasir-e-ishq dekho wo nama wan pahunch kar

    jun kaghaz-e-hawai har su uDa phira hai

    hai garche tifl-e-maktab wo shoKH abhi to lekin

    jis se mila hai us ka ustad ho mila hai

    phirte ho 'mir' sahab sab se jude jude tum

    shayad kahin tumhaara dil in dinon laga hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now