chhal-kapaT ki zindagi se KHud-kushi achchhi-bhali
chhal-kapaT kī zindagī se ḳhud-kushī achchhī-bhalī
phir koī Thukrā rahā hai zindagī achchhī-bhalī
tum ne dushman ke charāġhoñ ko dī kyoñ ghar meñ jagah
is parā.ī raushnī se tīrgī achchhī-bhalī
ik zarā sā ġham sarāpā toḌ detā hai unheñ
jin ko ye lagtā hai duniyā dekh lī achchhī-bhalī
saath meñ ho lunch tere desk apnī ek ho
is se baḌh kar kyā milegī salary achchhī-bhalī
paas to baiThā hai mere par tū mujh se duur hai
tere yuuñ hone se thī terī kamī achchhī-bhalī
chhal-kapaT ki zindagi se KHud-kushi achchhi-bhali
phir koi Thukra raha hai zindagi achchhi-bhali
tum ne dushman ke charaghon ko di kyon ghar mein jagah
is parai raushni se tirgi achchhi-bhali
ek zara sa gham sarapa toD deta hai unhen
jin ko ye lagta hai duniya dekh li achchhi-bhali
sath mein ho lunch tere desk apni ek ho
is se baDh kar kya milegi salary achchhi-bhali
pas to baiTha hai mere par tu mujh se dur hai
tere yun hone se thi teri kami achchhi-bhali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.