Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhapa hua hai bahut kam chhupa ziyaada hai

Rahib Maitreya

chhapa hua hai bahut kam chhupa ziyaada hai

Rahib Maitreya

MORE BYRahib Maitreya

    chhapā huā hai bahut kam chhupā ziyāda hai

    hameñ ḳhabar hai ḳhabar kyā tirā irāda hai

    ye tang-zehn na samjheñge is haqīqat ko

    tumhārī bazm meñ kis kis dil kushāda hai

    bahut sañbhāl ke rakhiyegā merī miTTī ko

    ye ḳhāk-dāñ mirī ḳhvāhish ik labāda hai

    bas ek samt chalne hukm hai us ko

    ye aadmī kisī shatranj piyāda hai

    sukūn mazā hai na iztirāb lutf

    ḳhushī bahut hai na ġham bahut ziyāda hai

    mujhe ziyāda na denā merī zarūrat se

    ho darmiyānī ravish bas yahī irāda hai

    maiñ terā saath na chhoḌūñgā maut se pahle

    mirī hayāt mirā tujh se itnā vā'da hai

    farishta ho ke bhī insān jaisā hai 'rāhib'

    mire habīb andāz kitnā saada hai

    chhapa hua hai bahut kam chhupa ziyaada hai

    hamein KHabar hai KHabar kya tera irada hai

    ye tang-zehn na samjhenge is haqiqat ko

    tumhaari bazm mein kis kis ka dil kushada hai

    bahut sanbhaal ke rakhiyega meri miTTi ko

    ye KHak-dan meri KHwahish ka ek labaada hai

    bas ek samt hi chalne ka hukm hai us ko

    ye aadmi kisi shatranj ka piyaada hai

    sukun ka hi maza hai na iztirab ka lutf

    KHushi bahut hai na gham hi bahut ziyaada hai

    mujhe ziyaada na dena meri zarurat se

    ho darmiyani rawish bas yahi irada hai

    main tera sath na chhoDunga maut se pahle

    meri hayat mera tujh se itna wa'da hai

    farishta ho ke bhi insan jaisa hai 'rahib'

    mere habib ka andaz kitna sada hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now