Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhat ki fasil par se ye bachcha utar gaya

Rehan Mirza

chhat ki fasil par se ye bachcha utar gaya

Rehan Mirza

MORE BYRehan Mirza

    chhat fasīl par se ye bachcha utar gayā

    dil se tumhāre ishq nashsha utar gayā

    merī taraf chalā thā jo tirchhī nigāh se

    vo tiir mere siine meñ sīdhā utar gayā

    āñkhoñ pe us ne ek dafa haath kyā rakhe

    mujh ko lagā huā thā jo chashma utar gayā

    mere baġhair ne guzārī hai zindagī

    kaise tire gale se ye luqma utar gayā

    niyyat se DāñTne maiñ to gayā thā par

    muskān us dekh ke ġhussa utar gayā

    vo aaj mujh ko dekh ke kyā muskurā diye

    mahfil meñ ek ek chehra utar gayā

    chhat ki fasil par se ye bachcha utar gaya

    dil se tumhaare ishq ka nashsha utar gaya

    meri taraf chala tha jo tirchhi nigah se

    wo tir mere sine mein sidha utar gaya

    aankhon pe us ne ek dafa hath kya rakhe

    mujh ko laga hua tha jo chashma utar gaya

    mere baghair tu ne guzari hai zindagi

    kaise tere gale se ye luqma utar gaya

    niyyat se DanTne ki hi main to gaya tha par

    muskan us ki dekh ke ghussa utar gaya

    wo aaj mujh ko dekh ke kya muskura diye

    mahfil mein ek ek ka chehra utar gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now