Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chheDte hain gudgudate hain phir arman aaj-kal

Riyaz Khairabadi

chheDte hain gudgudate hain phir arman aaj-kal

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    chheḌte haiñ gudgudāte haiñ phir armāñ āj-kal

    jhūTe sachche koī kar le 'ahd-o-paimāñ āj-kal

    ghoñT de merā galā kuchh zor agar us chale

    haath se mere tañg itnā garebāñ āj-kal

    chaḌh ga.e dīvār-e-zindāñ par kabhī utre kabhī

    ham bane haiñ sāya-e-dīvār-e-zindāñ āj-kal

    roz rātoñ ko sunā kartā huuñ ye āvāz-e-qais

    phāḌe khātā hai mujhe ḳhālī bayābāñ āj-kal

    ai urūs-e-teġh kuchh tujh ko hayā bhī chāhiye

    kyuuñ gale paḌtī hai ho ho ke uryāñ āj-kal

    sang-dil kāfir shāyad TūTte dekhā hai kufr

    TuuT kar milte haiñ mujh se is ke darbāñ āj-kal

    aa gayā aisā ab kāfir zamāna kyā kareñ

    daabe phirte haiñ baġhal meñ log īmāñ āj-kal

    rāt-din hai merī turbat par hasīnoñ hujūm

    dekhne chiiz hai gor-e-ġharībāñ āj-kal

    din ko roza 'iid shab ko hai 'ajab shaġhl-e-'riyāz'

    rāt-bhar piitā hai ye mard-e-musalmāñ āj-kal

    chheDte hain gudgudate hain phir arman aaj-kal

    jhuTe sachche koi kar le 'ahd-o-paiman aaj-kal

    ghonT de mera gala kuchh zor agar us ka chale

    hath se mere hi tang itna gareban aaj-kal

    chaDh gae diwar-e-zindan par kabhi utre kabhi

    hum bane hain saya-e-diwar-e-zindan aaj-kal

    roz raaton ko suna karta hun ye aawaz-e-qais

    phaDe khata hai mujhe KHali bayaban aaj-kal

    ai urus-e-tegh kuchh tujh ko haya bhi chahiye

    kyun gale paDti hai tu ho ho ke uryan aaj-kal

    sang-dil kafir ka shayad TuTte dekha hai kufr

    TuT kar milte hain mujh se is ke darban aaj-kal

    aa gaya aisa hi ab kafir zamana kya karen

    dabe phirte hain baghal mein log iman aaj-kal

    raat-din hai meri turbat par hasinon ka hujum

    dekhne ki chiz hai gor-e-ghariban aaj-kal

    din ko roza 'id shab ko hai 'ajab shaghl-e-'riyaz'

    raat-bhar pita hai ye mard-e-musalman aaj-kal

    Source:

    Riyaz Rizwan (Pg. e-297 p-167)

    • Author: Niyaz Ahmad
      • Edition: 1938
      • Publisher: Aazam Steam Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1938
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now