Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhin kar koi sakun bas de gaya hai iztirab

Manju Kachhawa Ana

chhin kar koi sakun bas de gaya hai iztirab

Manju Kachhawa Ana

MORE BYManju Kachhawa Ana

    chhīn kar koī sakūñ bas de gayā hai iztirāb

    jaane kaise rabt ye ibtidā hai iztirāb

    har ghaḌī mar kar guzāreñ saañs aTkī rahe

    jiite marne ke jaisī sazā hai iztirāb

    manziloñ ke bhī nishāñ mub.ham kartā jā.egā

    bas musalsal ik safar hai rāsta hai iztirāb

    khañDaroñ bayābāñ taraf le jaa.e jo

    aisī bhaTkātī huī ik sadā hai iztirāb

    shādmānī baaġh to ho ga.ī mismār sab

    phuul titlī aur ġhunchoñ meñ bachā hai iztirāb

    chāñd taare phuul ḳhushbū ye gumāñ the ishq meñ

    ik khulā hāsil huā aur ik milā hai iztirāb

    kaise kah duuñ is jahāñ meñ koī bhī merā nahīñ

    ajnabī har shai hai chāhe āshnā hai iztirāb

    chhin kar koi sakun bas de gaya hai iztirab

    jaane kaise rabt ki ye ibtida hai iztirab

    har ghaDi mar kar guzaren sans aTki hi rahe

    jite ji marne ke jaisi hi saza hai iztirab

    manzilon ke bhi nishan mubham hi karta jaega

    bas musalsal ek safar hai rasta hai iztirab

    khanDaron ki ya bayaban ki taraf le jae jo

    aisi bhaTkati hui si ek sada hai iztirab

    shadmani bagh ki to ho gai mismar sab

    phul titli aur ghunchon mein bacha hai iztirab

    chand tare phul KHushbu ye guman the ishq mein

    ek khula hasil hua aur ek mila hai iztirab

    kaise kah dun is jahan mein koi bhi mera nahin

    ajnabi har shai hai chahe aashna hai iztirab

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now