Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhin kar wo lazzat-e-saut-o-sada le jaega

Sheen Kaaf Nizam

chhin kar wo lazzat-e-saut-o-sada le jaega

Sheen Kaaf Nizam

MORE BYSheen Kaaf Nizam

    chhīn kar vo lazzat-e-saut-o-sadā le jā.egā

    haath shal kar jā.egā harf-e-duā le jā.egā

    biich baḌhtā huā har fāsla le jā.egā

    ek tūfāñ aa.egā sab kuchh bahā le jā.egā

    dekhnā baḌhtā huā ye ḳhvāhishoñ silsila

    mauj-e-ḳhūñ dikhlā.egā rañg-e-hinā le jā.egā

    be-muqaddar chhoḌ jā.egā sabhī peshāniyāñ

    raushnī āñkhoñ siine ziyā le jā.egā

    ghar se jaate vaqt vo ab ke buzurgoñ duā

    le to jā.egā magar Dartā huā le jā.egā

    lams meñ mil jā.egā āvāz asrār bhī

    pāniyoñ ke paikaroñ ko bhī uThā le jā.egā

    ik parinda raat chaukhaT pe aa.egā 'nizām'

    dekhnā hai degā kyā aur ham se kyā le jā.egā

    chhin kar wo lazzat-e-saut-o-sada le jaega

    hath shal kar jaega harf-e-dua le jaega

    bich ka baDhta hua har fasla le jaega

    ek tufan aaega sab kuchh baha le jaega

    dekhna baDhta hua ye KHwahishon ka silsila

    mauj-e-KHun dikhlaega rang-e-hina le jaega

    be-muqaddar chhoD jaega sabhi peshaniyan

    raushni aankhon ki sine ki ziya le jaega

    ghar se jate waqt wo ab ke buzurgon ki dua

    le to jaega magar Darta hua le jaega

    lams mein mil jaega aawaz ka asrar bhi

    paniyon ke paikaron ko bhi uTha le jaega

    ek parinda raat ki chaukhaT pe aaega 'nizam'

    dekhna hai dega kya aur hum se kya le jaega

    Source:

    Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 30)

    • Author: Sheen Kaaf Nizam
      • Edition: 2010
      • Publisher: Vagdevi Publication
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now