Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhin gai teri tamanna bhi tamannai se

Ahmad Mushtaq

chhin gai teri tamanna bhi tamannai se

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    chhin ga.ī terī tamannā bhī tamannā.ī se

    dil bahalte haiñ kahīñ hausla-afzā.ī se

    kaisā raushan thā tirā niind meñ Duubā chehra

    jaise ubhrā ho kisī ḳhvāb gahrā.ī se

    vahī āshufta-mizājī vahī ḳhushiyāñ vahī ġham

    ishq kaam liyā ham ne shanāsā.ī se

    na kabhī aañkh bhar aa.ī na tirā naam liyā

    bach ke chalte rahe har kūcha-e-rusvā.ī se

    hijr ke dam se salāmat hai tire vasl aas

    tar-o-tāza hai ḳhushī ġham tavānā.ī se

    khil ke murjhā bhī ga.e fasl-e-mulāqāt ke phuul

    ham fāriġh na hue mausam-e-tanhā.ī se

    chhin gai teri tamanna bhi tamannai se

    dil bahalte hain kahin hausla-afzai se

    kaisa raushan tha tera nind mein Duba chehra

    jaise ubhra ho kisi KHwab ki gahrai se

    wahi aashufta-mizaji wahi KHushiyan wahi gham

    ishq ka kaam liya hum ne shanasai se

    na kabhi aankh bhar aai na tera nam liya

    bach ke chalte rahe har kucha-e-ruswai se

    hijr ke dam se salamat hai tere wasl ki aas

    tar-o-taza hai KHushi gham ki tawanai se

    khil ke murjha bhi gae fasl-e-mulaqat ke phul

    hum hi farigh na hue mausam-e-tanhai se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now