Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoD de karb-e-ana mauja-e-pur-KHam banna

Balraj Hairat

chhoD de karb-e-ana mauja-e-pur-KHam banna

Balraj Hairat

MORE BYBalraj Hairat

    chhoḌ de karb-e-anā mauja-e-pur-ḳham banñā

    zindagī siikh ga.ī gesū-e-barham banñā

    kyā koī aur tasarruf na thā us mumkin

    kaisī miTTī ke muqaddar meñ thā aadam banñā

    haañ ḳhamīr ek darkār hai donoñ ke liye

    chashm-e-jānāñ ho ki paimāna-e-zamzam banñā

    mudda.ī marham-e-har-zaḳhm ke hone vaale

    aa gayā raas tujhe kyā ġham-e-ālam banñā

    har sañvartī huī taqdīr hai māthe pe shikan

    har ubhartī huī tasvīr ko mub.ham banñā

    aur bhī dahke raho dahke raho dahke raho

    aa jā.egā kabhī phuul pe shabnam banñā

    kyoñ mujhe yaad dilātā hai azal ke din

    merī sūrat tire zehn meñ kam-kam banñā

    har tabassum rahā marhūn-e-fuġhāñ 'hairat'

    har masarrat ko paḌā bār-gah-e-ġham banñā

    chhoD de karb-e-ana mauja-e-pur-KHam banna

    zindagi sikh gai gesu-e-barham banna

    kya koi aur tasarruf na tha us ka mumkin

    kaisi miTTi ke muqaddar mein tha aadam banna

    han KHamir ek hi darkar hai donon ke liye

    chashm-e-jaanan ho ki paimana-e-zamzam banna

    muddai marham-e-har-zaKHm ke hone wale

    aa gaya ras tujhe kya gham-e-alam banna

    har sanwarti hui taqdir hai mathe pe shikan

    har ubharti hui taswir ko mubham banna

    aur bhi dahke raho dahke raho dahke raho

    aa hi jaega kabhi phul pe shabnam banna

    kyon mujhe yaad dilata hai azal ke din ki

    meri surat ka tere zehn mein kam-kam banna

    har tabassum raha marhun-e-fughan ka 'hairat'

    har masarrat ko paDa bar-gah-e-gham banna

    Source:

    Azbar (Pg. 96)

    • Author: Balraj Hairat
      • Publisher: Universal Printing Works, Delhi
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now