chhoD de mangne ki ada chhoD de
chhoḌ de māñgne kī adā chhoḌ de
apnā haq chhīn le iltijā chhoḌ de
chhoḌ de ab mirā tazkira chhoḌ de
kuchh dinoñ ko mujhe lāpata chhoḌ de
nā-ḳhudāoñ kā ab aasrā chhoḌ de
apnī kashtī ba-nām-e-ḳhudā chhoḌ de
ishq meñ qurb hī ishq kī maut hai
qurbatoñ meñ bhī kuchh fāsla chhoḌ de
ye bhī mumkin nahīñ vo bhī mumkin nahīñ
maiñ vafā chhoḌ duuñ tū jafā chhoḌ de
apnā dāman bachā fikr merī na kar
tū mire ghar ko jaltā huā chhoḌ de
bevafā zindagī kā bharosā hī kyā
ye na jaane kahāñ kis jagah chhoḌe de
koī rah rah ke āvāz de hai mujhe
zindagī ab mirā rāsta chhoḌ de
ai 'azīz' ab kisī ko bharosā nahīñ
jaane kab kaun shosha nayā chhoḌ de
chhoD de mangne ki ada chhoD de
apna haq chhin le iltija chhoD de
chhoD de ab mera tazkira chhoD de
kuchh dinon ko mujhe lapata chhoD de
na-KHudaon ka ab aasra chhoD de
apni kashti ba-nam-e-KHuda chhoD de
ishq mein qurb hi ishq ki maut hai
qurbaton mein bhi kuchh fasla chhoD de
ye bhi mumkin nahin wo bhi mumkin nahin
main wafa chhoD dun tu jafa chhoD de
apna daman bacha fikr meri na kar
tu mere ghar ko jalta hua chhoD de
bewafa zindagi ka bharosa hi kya
ye na jaane kahan kis jagah chhoDe de
koi rah rah ke aawaz de hai mujhe
zindagi ab mera rasta chhoD de
ai 'aziz' ab kisi ko bharosa nahin
jaane kab kaun shosha naya chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.