Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoD kar aise gaya hai chhoDne wala mujhe

Aks samastipuri

chhoD kar aise gaya hai chhoDne wala mujhe

Aks samastipuri

MORE BYAks samastipuri

    chhoḌ kar aise gayā hai chhoḌne vaalā mujhe

    dosto us ne kahīñ bhī nahīñ chhoḌā mujhe

    bol-bālā is qadar ḳhāmoshiyoñ hai yahāñ

    kāTne ko dauḌtā hai merā kamra mujhe

    haañ vahī tasvīr jo khīñchī thī maiñ ne saath meñ

    haañ vahī tasvīr kar jaatī hai ab tanhā mujhe

    baat to ye ba.ad hai kuchh banūñgā nahīñ

    kūza-gar chaak pe to raqs karvātā mujhe

    bas isī ummīd pe hotā gayā barbād maiñ

    gar kabhī bikhrā to aa kar sambhālegā mujhe

    āThvīñ shab bhī mahz kuchh ghanToñ mehmān hai

    gar manānā hotā to ab tak manā letā mujhe

    chhoD kar aise gaya hai chhoDne wala mujhe

    dosto us ne kahin ka bhi nahin chhoDa mujhe

    bol-baala is qadar KHamoshiyon ka hai yahan

    kaTne ko dauDta hai mera hi kamra mujhe

    han wahi taswir jo khinchi thi main ne sath mein

    han wahi taswir kar jati hai ab tanha mujhe

    baat to ye baad ki hai kuchh banunga ya nahin

    kuza-gar tu chaak pe to raqs karwata mujhe

    bas isi ummid pe hota gaya barbaad main

    gar kabhi bikhra to aa kar tu sambhaalega mujhe

    aaThwin shab bhi mahz kuchh ghanTon ki mehman hai

    gar manana hota to ab tak mana leta mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now