chhoDti hi nahin mujhko shab-e-furqat meri
chhoḌtī hī nahīñ mujh ko shab-e-furqat merī
ai meñ qurbān use itnī mohabbat merī
kyuuñ kar uupar uTheñ āñkheñ mirī ai hasrat-e-dīd
sar uThāne nahīñ detī hai nadāmat merī
phuuT kar rone se ashkoñ kā marā hai paanī
be-bahār aa.e khulī jaatī hai turbat merī
vasl kī shab vo Darāte haiñ ye kah kah ke mujhe
tum satāo tumheñ kosegī nazākat merī
jalva-e-yār ne behosh kiyā hai mujh ko
kuchh alag nashsha-e-mai se rahī ġhaflat merī
aañkh tāroñ ne churā.ī ye na.ī baat hai aaj
dekhiye kaTtī hai kyuuñ kar shab-e-ġhurbat merī
rahn-e-mai hone se bach jaa.e to izzat rah jaa.e
mol le le koī dastār-e-fazīlat merī
raheñ tā-hashr yūñhī mehñdī lage paañv ke naqsh
chaar phūloñ kī na mohtāj ho turbat merī
taare mujh ko nazar aa.eñ na kahīñ hashr ke din
Dar se baḌh jaa.e na had se shab-e-furqat merī
chheḌ kar majma-e-zuhhād ko Dartā huuñ 'riyāz'
kohna masjid kī evaz ho na marammat merī
chhoDti hi nahin mujh ko shab-e-furqat meri
ai mein qurban use itni mohabbat meri
kyun kar upar uThen aankhen meri ai hasrat-e-did
sar uThane nahin deti hai nadamat meri
phuT kar rone se ashkon ka mara hai pani
be-bahaar aae khuli jati hai turbat meri
wasl ki shab wo Daraate hain ye kah kah ke mujhe
tum satao tumhein kosegi nazakat meri
jalwa-e-yar ne behosh kiya hai mujh ko
kuchh alag nashsha-e-mai se rahi ghaflat meri
aankh taron ne churai ye nai baat hai aaj
dekhiye kaTti hai kyun kar shab-e-ghurbat meri
rahn-e-mai hone se bach jae to izzat rah jae
mol le le koi dastar-e-fazilat meri
rahen ta-hashr yunhi mehndi lage panw ke naqsh
chaar phulon ki na mohtaj ho turbat meri
tare mujh ko nazar aaen na kahin hashr ke din
Dar se baDh jae na had se shab-e-furqat meri
chheD kar majma-e-zuhhad ko Darta hun 'riyaz'
kohna masjid ki ewaz ho na marammat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.