Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhoTi si ye baat sahi par khinche hai ye tul miyan

Syed Shakeel Desnavi

chhoTi si ye baat sahi par khinche hai ye tul miyan

Syed Shakeel Desnavi

MORE BYSyed Shakeel Desnavi

    chhoTī ye baat sahī par khīñche hai ye tuul miyāñ

    jīvan bhar rog bane hai do āñkhoñ bhuul miyāñ

    kāñToñ ne jo zaḳhm lagā.e vo maanā bhar jā.eñge

    un zaḳhmoñ ko kaise bharoge jin ko lagā.eñ phuul miyāñ

    sukh DhūñDoge dukh pāoge priit ke badle jalte aañsū

    riit yahī is jag pyāre is jag ma.amūl miyāñ

    pyaar vafā chalan na ho gar dil se dil ko raah na ho

    aisī ravish to is duniyā ko kar degī maj.hūl miyāñ

    ruup devī raam na hogī chilla khīñcho jog karo

    laakh lagāo tum āñkhoñ se un charnoñ dhuul miyāñ

    'sayyad'-jī ke giit kabat sab sunte haiñ sar dhunte haiñ

    prem-kathā ke rasiyā ik din kholeñge schōl miyāñ

    chhoTi si ye baat sahi par khinche hai ye tul miyan

    jiwan bhar ka rog bane hai do aankhon ki bhul miyan

    kanTon ne jo zaKHm lagae wo mana bhar jaenge

    un zaKHmon ko kaise bharoge jin ko lagaen phul miyan

    sukh DhunDoge dukh paoge prit ke badle jalte aansu

    rit yahi is jag ki pyare is jag ka mamul miyan

    pyar wafa ka chalan na ho gar dil se dil ko rah na ho

    aisi rawish to is duniya ko kar degi majhul miyan

    rup ki dewi ram na hogi chilla khincho jog karo

    lakh lagao tum aankhon se un charnon ki dhul miyan

    'sayyad'-ji ke git kabat sab sunte hain sar dhunte hain

    prem-katha ke rasiya ek din kholenge school miyan

    Source:

    Tanha Tanha (Pg. 14)

    • Author: Sayed Shakeel Desnavi
      • Edition: 1989
      • Publisher: Adshot Publications,
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now