Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhuriyan chalin shab dil o jigar par

Mushafi Ghulam Hamdani

chhuriyan chalin shab dil o jigar par

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    chhuriyāñ chalīñ shab dil o jigar par

    la.anat hai is āh-e-be-asar par

    bāloñ ne tire balā dikhā

    jab khul ke vo aa rahī kamar par

    naame ko mire chhupā rakhegā

    thā ye to gumāñ na nāma-bar par

    phirte haiñ jharokoñ ke tale shaah

    us meñ umīd-e-yak-nazar par

    kyā jaagā hai ye bhī hijr shab

    zardī hai kyuuñ ruḳh-e-qamar par

    phir ġhairat-e-ishq ne biThā.e

    darbāñ shadīd us ke dar par

    rahtī haiñ ba-vaqt-e-girya aksar

    do uñgliyāñ apnī chashm-e-tar par

    hai ishq suḳhan 'mus.hafī' ko

    maa.il nahīñ itnā sīm-o-zar par

    chhuriyan chalin shab dil o jigar par

    lanat hai is aah-e-be-asar par

    baalon ne tere bala dikha di

    jab khul ke wo aa rahi kamar par

    name ko mere chhupa rakhega

    tha ye to guman na nama-bar par

    phirte hain jharokon ke tale shah

    us ku mein umid-e-yak-nazar par

    kya jaga hai ye bhi hijr ki shab

    zardi si hai kyun ruKH-e-qamar par

    phir ghairat-e-ishq ne biThae

    darban shadid us ke dar par

    rahti hain ba-waqt-e-girya aksar

    do ungliyan apni chashm-e-tar par

    hai ishq suKHan ka 'mushafi' ko

    mail nahin itna sim-o-zar par

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii (Pg. 130)
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now