Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhuTta hi nahin ho jise aazar-e-mohabbat

Meer Taqi Meer

chhuTta hi nahin ho jise aazar-e-mohabbat

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    chhuTtā nahīñ ho jise āzār-e-mohabbat

    māyūs huuñ maiñ bhī ki huuñ bīmār-e-mohabbat

    imkāñ nahīñ jīte-jī ho is qaid se āzād

    mar jaa.e tabhī chhūTe giraftār-e-mohabbat

    taqsīr na ḳhūbāñ na jallād kuchh jurm

    thā dushman-e-jānī mirā iqrār-e-mohabbat

    har jins ke ḳhvāhāñ mile bāzār-e-jahāñ meñ

    lekin na milā koī ḳharīdār-e-mohabbat

    is raaz ko rakh meñ bache terā

    zinhār jo kartā ho iz.hār-e-mohabbat

    har naqsh-e-qadam par tire sar beche haiñ āshiq

    Tuk sair to kar aaj bāzār-e-mohabbat

    kuchh mast haiñ ham dīda-e-pur-ḳhūn-e-jigar se

    aayā yahī hai sāġhar-e-sarshār-e-mohabbat

    bekār na rah ishq meñ rone se hargiz

    ye girya hai āb-e-ruḳh-e-kār-e-mohabbat

    mujh ho majnūñ bhī ye kab maane hai aaqil

    har sar nahīñ ai 'mīr' sazā-vār-e-mohabbat

    chhuTta hi nahin ho jise aazar-e-mohabbat

    mayus hun main bhi ki hun bimar-e-mohabbat

    imkan nahin jite-ji ho is qaid se aazad

    mar jae tabhi chhuTe giraftar-e-mohabbat

    taqsir na KHuban ki na jallad ka kuchh jurm

    tha dushman-e-jaani mera iqrar-e-mohabbat

    har jins ke KHwahan mile bazar-e-jahan mein

    lekin na mila koi KHaridar-e-mohabbat

    is raaz ko rakh ji hi mein ta ji bache tera

    zinhaar jo karta ho tu izhaar-e-mohabbat

    har naqsh-e-qadam par tere sar beche hain aashiq

    Tuk sair to kar aaj tu bazar-e-mohabbat

    kuchh mast hain hum dida-e-pur-KHun-e-jigar se

    aaya yahi hai saghar-e-sarshaar-e-mohabbat

    bekar na rah ishq mein tu rone se hargiz

    ye girya hi hai aab-e-ruKH-e-kar-e-mohabbat

    mujh sa hi ho majnun bhi ye kab mane hai aaqil

    har sar nahin ai 'mir' saza-war-e-mohabbat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now