Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhu ke guzra mujhe zamana sa

Mustafa Shahab

chhu ke guzra mujhe zamana sa

Mustafa Shahab

MORE BYMustafa Shahab

    chhū ke guzrā mujhe zamāna

    pairahan ho gayā purānā

    ik purānā rabt hai us se

    ik ta.alluq hai ġhā.ebāna

    ek qatra sadaf meñ kyā utrā

    khul gayā ek kār-ḳhāna

    dil TuuTī fasīl meñ ab bhī

    ek dar hai ārifāna

    ab bhī us galī meñ muḌtā hai

    dil se ik rāsta purānā

    thī nazar us pe dushmanoñ jaisī

    ishq jis se thā vālihāna

    ḳhāmushī ghar Dar hai 'shahāb'

    duur ik shor hai suhānā

    chhu ke guzra mujhe zamana sa

    pairahan ho gaya purana sa

    ek purana sa rabt hai us se

    ek talluq hai ghaebana sa

    ek qatra sadaf mein kya utra

    khul gaya ek kar-KHana sa

    dil ki TuTi fasil mein ab bhi

    ek dar wa hai aarifana sa

    ab bhi us ki gali mein muDta hai

    dil se ek rasta purana sa

    thi nazar us pe dushmanon jaisi

    ishq jis se tha walihana sa

    KHamushi ghar ki Dar hi hai 'shahab'

    dur ek shor hai suhana sa

    Source:

    safar aamada (Pg. 36)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now