Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chilman wo aasman ki takna wo baam se

Tariq Mahmood

chilman wo aasman ki takna wo baam se

Tariq Mahmood

MORE BYTariq Mahmood

    chilman vo āsmān taknā vo baam se

    ḳhemoñ se muñh nikālā sitāroñ ne shaam se

    matlab hai saarī duniyā ko apne kaam se

    aatā hai mujh ko chain tumhāre naam se

    dil ne tumhāre husn dekhī hai ik jhalak

    phislā tabhī to jaatā hai apne maqām se

    jab se nigāh-e-yār ne chīrā hai merā dil

    haTtā nahīñ hai muñh mirā saaqī ke jaam se

    ik din vo aa ke pūchh le kaisā hai dil ġharīb

    ik din vo teġh khīñch le apne nyaam se

    chilman wo aasman ki takna wo baam se

    KHemon se munh nikala sitaron ne sham se

    matlab hai sari duniya ko apne hi kaam se

    aata hai mujh ko chain tumhaare hi nam se

    dil ne tumhaare husn ki dekhi hai ek jhalak

    phisla tabhi to jata hai apne maqam se

    jab se nigah-e-yar ne chira hai mera dil

    haTta nahin hai munh mera saqi ke jam se

    ek din wo aa ke puchh le kaisa hai dil gharib

    ek din wo tegh khinch le apne nyam se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now