Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chitwan mein shararat hai aur scene bhi chanchal hai

Nazeer Akbarabadi

chitwan mein shararat hai aur scene bhi chanchal hai

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    chitvan meñ sharārat hai aur scene bhī chanchal hai

    kāfir tirī nazroñ meñ kuchh aur chhal-bal hai

    baalā bhī chamaktā hai jugnū bhī damaktā hai

    baddhī lipaT tis par tā'vīz haikal hai

    gorā vo galā nāzuk aur peT milā.ī

    siine safā.ī bhī aisī goyā maḳhmal hai

    vo husn ke gulshan meñ maġhrūr na ho kyūñ-kar

    baḌhtī huī Daalī hai uThtī huī koñpal hai

    añgiyā vo ġhazab jis ko malmal kare dil bhī

    kyā jaane ki shabnam hai nansukh hai ki malmal hai

    ye do jo na.e phal haiñ siine pe tire zālim

    Tuk haath lagāne de jiine yahī phal hai

    ubhrā huā vo siina aur josh bharā joban

    ek naaz dariyā hai ik husn bādal hai

    kyā kiije bayāñ yaaro chanchal rukhāvaT

    har baat meñ dur dur hai har aan meñ chal-chal hai

    ye vaqt hai ḳhalvat ai jaan na kar kal kal

    kāfir tirī kal kal se ab mirā bekal hai

    kal maiñ ne kahā us se kyā dil meñ ye aayā jo

    kañghī hai na choTī hai missī hai na kājal hai

    mā'lūm huā ham se rūThe ho tum ai jaanī

    ulTā dupaTTe mukhḌe pe ye āñchal hai

    ye sun ke lagī kahne rūThī to nahīñ tujh se

    par kyā kahūñ do din se kuchh dil mirā bekal hai

    jis din 'nazīr' aa kar vo shoḳh mile ham se

    hath-pher haiñ bose haiñ din raat mal-dal hai

    chitwan mein shararat hai aur scene bhi chanchal hai

    kafir teri nazron mein kuchh aur hi chhal-bal hai

    baala bhi chamakta hai jugnu bhi damakta hai

    baddhi ki lipaT tis par ta'wiz ki haikal hai

    gora wo gala nazuk aur peT milai sa

    sine ki safai bhi aisi goya maKHmal hai

    wo husn ke gulshan mein maghrur na ho kyun-kar

    baDhti hui Dali hai uThti hui konpal hai

    angiya wo ghazab jis ko malmal hi kare dil bhi

    kya jaane ki shabnam hai nansukh hai ki malmal hai

    ye do jo nae phal hain sine pe tere zalim

    Tuk hath lagane de jine ka yahi phal hai

    ubhra hua wo sina aur josh bhara joban

    ek naz ka dariya hai ek husn ka baadal hai

    kya kije bayan yaro chanchal ki rukhawaT ka

    har baat mein dur dur hai har aan mein chal-chal hai

    ye waqt hai KHalwat ka ai jaan na kar kal kal

    kafir teri kal kal se ab ji mera bekal hai

    kal main ne kaha us se kya dil mein ye aaya jo

    kanghi hai na choTi hai missi hai na kajal hai

    ma'lum hua hum se ruThe ho tum ai jaani

    ulTa hi dupaTTe ka mukhDe pe ye aanchal hai

    ye sun ke lagi kahne ruThi to nahin tujh se

    par kya kahun do din se kuchh dil mera bekal hai

    jis din hi 'nazir' aa kar wo shoKH mile hum se

    hath-pher hain bose hain din raat ki mal-dal hai

    Source:

    Kulliyat-e-Nazeer (Pg. 904)

    • Author: Nazeer Akbarabadi
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now