chup-chap habs-e-waqt ke pinjre mein mar gaya
chup-chāp habs-e-vaqt ke piñjre meñ mar gayā
jhoñkā havā kā aate hī kamre meñ mar gayā
sūraj lihāf oḌh ke soyā tamām raat
sardī se ik parinda darīche meñ mar gayā
jo nāḳhudā ko kah na sakā 'umr bhar ḳhudā
vo shaḳhs kal anā ke jazīre meñ mar gayā
editorī ne kaaT diiñ taḳhlīq kī rageñ
achchhā-bhalā adiib risāle meñ mar gayā
sūraj ne āñsuoñ kī tavānā.ī chhīn lī
shabnam sā shaḳhs dhuup ke qasbe meñ mar gayā
is martaba bhī sachchī gavāhī usī ne dī
is martaba magar vo kaTahre meñ mar gayā
'nāsik' vo apnī zaat meñ manzil se kam na thā
vo rah-rav-e-hayāt jo raste meñ mar gayā
chup-chap habs-e-waqt ke pinjre mein mar gaya
jhonka hawa ka aate hi kamre mein mar gaya
suraj lihaf oDh ke soya tamam raat
sardi se ek parinda dariche mein mar gaya
jo naKHuda ko kah na saka 'umr bhar KHuda
wo shaKHs kal ana ke jazire mein mar gaya
editori ne kaT din taKHliq ki ragen
achchha-bhala adib risale mein mar gaya
suraj ne aansuon ki tawanai chhin li
shabnam sa shaKHs dhup ke qasbe mein mar gaya
is martaba bhi sachchi gawahi usi ne di
is martaba magar wo kaTahre mein mar gaya
'nasik' wo apni zat mein manzil se kam na tha
wo rah-raw-e-hayat jo raste mein mar gaya
- Book : Adab-o-Saqafat International (Pg. 63)
- Author : Shakeelsarosh
- Publication : Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.