Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup guzar jata hun hairan bhi ho jata hun

Shehpar Rasool

chup guzar jata hun hairan bhi ho jata hun

Shehpar Rasool

MORE BYShehpar Rasool

    chup guzar jaatā huuñ hairān bhī ho jaatā huuñ

    aur kisī din to pareshān bhī ho jaatā huuñ

    sīdhā rasta huuñ magar mujh se guzarnā mushkil

    gumrahoñ ke liye āsān bhī ho jaatā huuñ

    fā.eda mujh ko sharāfat bhī mil jaatā hai

    par kabhī bā.is-e-nuqsān bhī ho jaatā huuñ

    apne zikr ko suntā huuñ harīfoñ tarah

    apne naam se anjān bhī ho jaatā huuñ

    raunaqeñ shahr basā letī haiñ mujh meñ apnā

    aan aan meñ sunsān bhī ho jaatā huuñ

    zindagī hai to badal letī hai karvaT 'shahpar'

    aadmī huuñ kabhī haivān bhī ho jaatā huuñ

    chup guzar jata hun hairan bhi ho jata hun

    aur kisi din to pareshan bhi ho jata hun

    sidha rasta hun magar mujh se guzarna mushkil

    gumrahon ke liye aasan bhi ho jata hun

    faeda mujh ko sharafat ka bhi mil jata hai

    par kabhi bais-e-nuqsan bhi ho jata hun

    apne hi zikr ko sunta hun harifon ki tarah

    apne hi nam se anjaan bhi ho jata hun

    raunaqen shahr basa leti hain mujh mein apna

    aan ki aan mein sunsan bhi ho jata hun

    zindagi hai to badal leti hai karwaT 'shahpar'

    aadmi hun kabhi haiwan bhi ho jata hun

    RECITATIONS

    Shehpar Rasool

    Shehpar Rasool,

    Shehpar Rasool

    chup guzar jata hun hairan bhi ho jata hun Shehpar Rasool

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now