Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chup hain diwaren aur dar KHamosh

Naveed Sarosh

chup hain diwaren aur dar KHamosh

Naveed Sarosh

MORE BYNaveed Sarosh

    chup haiñ dīvāreñ aur dar ḳhāmosh

    kis liye jal ga.e shajar ḳhāmosh

    har zabāñ chup hai har nazar ḳhāmosh

    kyā huā kyoñ hai har bashar ḳhāmosh

    qāfile luT rahe haiñ rāhoñ meñ

    aur baiThe haiñ rāhbar ḳhāmosh

    ik makāñ ik makīñ baat nahīñ

    ham ne dekhā hai shahr-bhar ḳhāmosh

    kaun toḌegā ye sukūt 'sarosh'

    aaj bhī tum rahe agar ḳhāmosh

    chup hain diwaren aur dar KHamosh

    kis liye jal gae shajar KHamosh

    har zaban chup hai har nazar KHamosh

    kya hua kyon hai har bashar KHamosh

    qafile luT rahe hain rahon mein

    aur baiThe hain rahbar KHamosh

    ek makan ek makin ki baat nahin

    hum ne dekha hai shahr-bhar KHamosh

    kaun toDega ye sukut 'sarosh'

    aaj bhi tum rahe agar KHamosh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now