chup raho tum bhi tumhaari bhi zabani aur hai
chup raho tum bhī tumhārī bhī zabānī aur hai
mujh se hī merī suno merī kahānī aur hai
ek ko din se ḳhushī hai dūsre ko raat se
din kā raaja aur hai rātoñ kī raanī aur hai
ik tire ġham par bahā hai ek jalve par tire
ashk-e-dīda aur hai diide kā paanī aur hai
ye nahīñ vo āb-e-bārāñ bārhā jo mil sake
kaam hī meñ lā ki āb-e-zindagānī aur hai
aañkh se utrā to āñkheñ tum chaḌhāoge miyāñ
dekh lenā ye ḳhumār-e-ḳhush-gumānī aur hai
zindagī ke baa'd terī maut ‘aḳhtar-āzmī'
kah rahī hai zindagī kī ik kahānī aur hai
chup raho tum bhi tumhaari bhi zabani aur hai
mujh se hi meri suno meri kahani aur hai
ek ko din se KHushi hai dusre ko raat se
din ka raja aur hai raaton ki rani aur hai
ek tere gham par baha hai ek jalwe par tere
ashk-e-dida aur hai dide ka pani aur hai
ye nahin wo aab-e-baran barha jo mil sake
kaam hi mein la ki aab-e-zindagani aur hai
aankh se utra to aankhen tum chaDhaoge miyan
dekh lena ye KHumar-e-KHush-gumani aur hai
zindagi ke ba'd teri maut ‘aKHtar-azmi'
kah rahi hai zindagi ki ek kahani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.