Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chupke-chupke aankh jo sharma rahi hai

Krishn Murari

chupke-chupke aankh jo sharma rahi hai

Krishn Murari

MORE BYKrishn Murari

    chupke-chupke aañkh jo sharmā rahī hai

    phir kahānī ishq dohrā rahī hai

    dhīmī dhīmī tishnagī lazzatoñ se

    lamha lamha rut badaltī rahī hai

    vo thakan jo manziloñ tak aa ga.ī thī

    ab laboñ par muskurātī rahī hai

    manzaroñ se kis qadar māyūsiyāñ haiñ

    duur tak ik ḳhāmushī lahrā rahī hai

    vo nazar jo sochtī rah ga.ī thī

    ab udāsī chalan apnā rahī hai

    phir kisī harf-e-tahī ke zā.iqe

    aarzū hoñToñ pe sajtī rahī hai

    sochtī tishnagī harf-o-sadā

    ek nuqte par simaTtī rahī hai

    kuchh ujāloñ kuchh añdheroñ meñ baTī

    zindagī sad-rang hotī rahī hai

    phir kisī mafhūm-e-avval ḳhabar

    ik madhur muskān khiltī rahī hai

    kuchh javāñ qurbatoñ sansanāhaT

    shabnamī rishtoñ meñ Dhaltī rahī hai

    chupke-chupke aankh jo sharma rahi hai

    phir kahani ishq ki dohra rahi hai

    dhimi dhimi tishnagi ki lazzaton se

    lamha lamha rut badalti ja rahi hai

    wo thakan jo manzilon tak aa gai thi

    ab labon par muskuraati ja rahi hai

    manzaron se kis qadar mayusiyan hain

    dur tak ek KHamushi lahra rahi hai

    wo nazar jo sochti hi rah gai thi

    ab udasi ka chalan apna rahi hai

    phir kisi harf-e-tahi ke zaiqe ki

    aarzu honTon pe sajti ja rahi hai

    sochti si tishnagi harf-o-sada ki

    ek nuqte par simaTti ja rahi hai

    kuchh ujalon kuchh andheron mein baTi si

    zindagi sad-rang hoti ja rahi hai

    phir kisi mafhum-e-awwal ki KHabar si

    ek madhur muskan khilti ja rahi hai

    kuchh jawan si qurbaton ki sansanahaT

    shabnami rishton mein Dhalti ja rahi hai

    Source:

    Rang Tarang (Pg. 23)

    • Author: Krishn Murari
      • Publisher: Modern Publishing House, Daryaganj, New Delhi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now