Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chupke chupke ye kaam karta ja

Mazhar Imam

chupke chupke ye kaam karta ja

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    chupke chupke ye kaam kartā

    kaam sab tamām kartā

    ham ko badnām kar zamāne meñ

    kuchh zamāne meñ naam kartā

    yaad shāh-rāh-e-sīmīñ par

    ai saman-bar ḳhirām kartā

    ai ki terā mizāj shabnam

    barg-e-dil par qayām kartā

    ashk āñkhoñ meñ le ke ruḳhsat ho

    merā marnā harām kartā

    bastiyoñ ujaḌnā basnā kyā

    be-jhijak qatl-e-ām kartā

    dāstāñ-go tirī kahānī meñ

    ramz kiyā hai kalām kartā

    chaar chhai sher kaam ke kah le

    kuchh to 'maz.har--imām' kartā

    chupke chupke ye kaam karta ja

    kaam sab ka tamam karta ja

    hum ko badnam kar zamane mein

    kuchh zamane mein nam karta ja

    yaad ki shah-rah-e-simin par

    ai saman-bar KHiram karta ja

    ai ki tera mizaj shabnam sa

    barg-e-dil par qayam karta ja

    ashk aankhon mein le ke ruKHsat ho

    mera marna haram karta ja

    bastiyon ka ujaDna basna kya

    be-jhijak qatl-e-am karta ja

    dastan-go teri kahani mein

    ramz kiya hai kalam karta ja

    chaar chhai sher kaam ke kah le

    kuchh to 'mazhar--imam' karta ja

    Source:

    paalkii kahkashaa.n (Pg. 25)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now