Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chupke se qarib aana phir dur nikal jaana

Javed Jamil

chupke se qarib aana phir dur nikal jaana

Javed Jamil

MORE BYJaved Jamil

    chupke se qarīb aanā phir duur nikal jaanā

    har pal muqaddar hai maazī meñ badal jaanā

    kar kar ke tirī bāteñ paḌh paḌh ke tirā chehra

    har sinf-e-suḳhan sīkhī har rañg-e-ġhazal jaanā

    ik farz hai hastī par har pal pazīrā.ī

    tārīḳh sheva hai sadiyoñ ko nigal jaanā

    paḌtī haiñ pahāḌoñ par sūraj shuā.eñ jab

    mushkil kahāñ rahtā hai phir barf pighal jaanā

    kirdār adā karnā har shaḳhs ko paḌtā hai

    āsāñ nahīñ qaumoñ taqdīr badal jaanā

    'jāved' zarūrī hai duniyā meñ añdherā bhī

    hai maslahat-e-yazdāñ ye shaam Dhal jaanā

    chupke se qarib aana phir dur nikal jaana

    har pal ka muqaddar hai mazi mein badal jaana

    kar kar ke teri baaten paDh paDh ke tera chehra

    har sinf-e-suKHan sikhi har rang-e-ghazal jaana

    ek farz hai hasti par har pal ki pazirai

    tariKH ka shewa hai sadiyon ko nigal jaana

    paDti hain pahaDon par suraj ki shuaen jab

    mushkil kahan rahta hai phir barf pighal jaana

    kirdar ada karna har shaKHs ko paDta hai

    aasan nahin qaumon ki taqdir badal jaana

    'jawed' zaruri hai duniya mein andhera bhi

    hai maslahat-e-yazdan ye sham ka Dhal jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now