chura ke mere taq se kitab koi le gaya

Hameed Almas

chura ke mere taq se kitab koi le gaya

Hameed Almas

MORE BYHameed Almas

  churā ke mere taaq se kitāb koī le gayā

  mirī tamām umr hisāb koī le gayā

  ye vāqi.a hai jab luTī mire chaman aabrū

  laraztī shāḳh rah ga.ī gulāb koī le gayā

  vahī to ik zarīya-e-najāt mere paas thā

  magar mire zamīr savāb koī le gayā

  savāl ban ke rū-ba-rū khaḌī huī thī zindagī

  mirā lahū nichoḌ kar javāb koī le gayā

  mire badan meñ chubh rahī thiiñ sūiyāñ raat bhar

  sahar huī to lutf-e-iztirāb koī le gayā

  chhupā liyā hai maiñ ne saarā dard apnī ruuh meñ

  tasalliyoñ zāhirī naqāb koī le gayā

  chura ke mere taq se kitab koi le gaya

  meri tamam umr ka hisab koi le gaya

  ye waqia hai jab luTi mere chaman ki aabru

  larazti shaKH rah gai gulab koi le gaya

  wahi to ek zariya-e-najat mere pas tha

  magar mere zamir ka sawab koi le gaya

  sawal ban ke ru-ba-ru khaDi hui thi zindagi

  mera lahu nichoD kar jawab koi le gaya

  mere badan mein chubh rahi thin suiyan si raat bhar

  sahar hui to lutf-e-iztirab koi le gaya

  chhupa liya hai main ne sara dard apni ruh mein

  tasalliyon ka zahiri naqab koi le gaya

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY