Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chuTkiyan li hi ki uTh baiTh jo mar jae koi

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

chuTkiyan li hi ki uTh baiTh jo mar jae koi

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

MORE BYAbdul Rahman Ehsan Dehlvi

    chuTkiyāñ ki uTh baiTh jo mar jaa.e koī

    ai sitamgar tire hāthoñ se kidhar jaa.e koī

    kyuuñ guzregī na guzroge jo tum yaar idhar

    pas ye marzī hai ki bas jaise guzar jaa.e koī

    mire marne se tirā shohra huā qismat

    ki bigaḌ jaa.e koī aur sañvar jaa.e koī

    ek dam bhī bharosā nahīñ mānind-e-hayāt

    bahr-e-hastī meñ habāb aa ke ubhar jaa.e koī

    sham.a saañ sar na kaTe us ye imkān nahīñ

    bazm-e-ḳhūbāñ meñ jo bā-dīda-e-tar jaa.e koī

    dil mirā tum ne churāyā mujhe ulTī hai ye fikr

    na ḳhabar paa.e koī na biphar jaa.e koī

    aap ke ahd meñ ye rasm hai dekhī ham ne

    ki gunahgār koī aur ho Dar jaa.e koī

    ghar se niklo ki hameñ ghar na kuchh yaad rahe

    ghar meñ baiThe hue kahtī ho na ghar jaa.e koī

    yuuñ to samjhe sune aatī nahīñ 'ehsā۔n' ko samajh

    kyā tamāshā ho ki dil le ke mukar jaa.e koī

    chuTkiyan li hi ki uTh baiTh jo mar jae koi

    ai sitamgar tere hathon se kidhar jae koi

    kyun ki guzregi na guzroge jo tum yar idhar

    pas ye marzi hai ki bas jaise guzar jae koi

    mere marne se tera shohra hua ya qismat

    ki bigaD jae koi aur sanwar jae koi

    ek dam ka bhi bharosa nahin manind-e-hayat

    bahr-e-hasti mein habab aa ke ubhar jae koi

    shama san sar na kaTe us ka ye imkan nahin

    bazm-e-KHuban mein jo ba-dida-e-tar jae koi

    dil mera tum ne churaya mujhe ulTi hai ye fikr

    na KHabar pae koi ta na biphar jae koi

    aap ke ahd mein ye rasm hai dekhi hum ne

    ki gunahgar koi aur ho Dar jae koi

    ghar se niklo ki hamein ghar ki na kuchh yaad rahe

    ghar mein baiThe hue kahti ho na ghar jae koi

    yun to samjhe sune aati nahin 'ehsa۔n' ko samajh

    kya tamasha ho ki dil le ke mukar jae koi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now