dagh-e-dil hi na jab ‘uryan hoga
dāġh-e-dil hī na jab ‘uryāñ hogā
ḳhaak is dard kā darmāñ hogā
ḳhām-kārī tirī kab tak ḳhāliq
aadmī terā kab insāñ hogā
dab na jā.ūñ maiñ kisī bojh tale
mujh pe ehsāñ na kar ehsāñ hogā
vo jo insāñ hī nahīñ ban paayā
ḳhaak hindū yā musalmāñ hogā
ghūñT bhar zahr pī aur khel tamām
jiinā kab maut sā āsāñ hogā
mat gila ġhair se rakh dil meñ 'sadā'
be-sabab dil kā hī nuqsāñ hogā
dagh-e-dil hi na jab ‘uryan hoga
KHak is dard ka darman hoga
KHam-kari teri kab tak KHaliq
aadmi tera kab insan hoga
dab na jaun main kisi bojh tale
mujh pe ehsan na kar ehsan hoga
wo jo insan hi nahin ban paya
KHak hindu ya musalman hoga
ghunT bhar zahr pi aur khel tamam
jina kab maut sa aasan hoga
mat gila ghair se rakh dil mein 'sada'
be-sabab dil ka hi nuqsan hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.