Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dagh-e-gham dil se kisi tarah miTaya na gaya

Moin Ahsan Jazbi

dagh-e-gham dil se kisi tarah miTaya na gaya

Moin Ahsan Jazbi

MORE BYMoin Ahsan Jazbi

  dāġh-e-ġham dil se kisī tarah miTāyā na gayā

  maiñ ne chāhā bhī magar tum ko bhulāyā na gayā

  umr bhar yuuñ to zamāne ke masā.ib jhele

  terī nazroñ magar baar uThāyā na gayā

  rūThne vāloñ se itnā koī kar pūchhe

  ḳhud rūThe rahe ham se manāyā na gayā

  phuul chunñā bhī abas sair-e-bahārāñ bhī fuzūl

  dil dāman jo kāñToñ se bachāyā na gayā

  us ne is tarah mohabbat nigāheñ Dālīñ

  ham se duniyā koī raaz chhupāyā na gayā

  thī haqīqat meñ vahī manzil-e-maqsad 'jazbī'

  jis jagah tujh se qadam aage baḌhāyā na gayā

  dagh-e-gham dil se kisi tarah miTaya na gaya

  main ne chaha bhi magar tum ko bhulaya na gaya

  umr bhar yun to zamane ke masaib jhele

  teri nazron ka magar bar uThaya na gaya

  ruThne walon se itna koi ja kar puchhe

  KHud hi ruThe rahe ya hum se manaya na gaya

  phul chunna bhi abas sair-e-bahaaran bhi fuzul

  dil ka daman hi jo kanTon se bachaya na gaya

  us ne is tarah mohabbat ki nigahen Dalin

  hum se duniya ka koi raaz chhupaya na gaya

  thi haqiqat mein wahi manzil-e-maqsad 'jazbi'

  jis jagah tujh se qadam aage baDhaya na gaya

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Nomaan Shauque

  dagh-e-gham dil se kisi tarah miTaya na gaya Nomaan Shauque

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now