Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dagh jalta hai mere sine mein

Talat Farooq

dagh jalta hai mere sine mein

Talat Farooq

MORE BYTalat Farooq

    daaġh jaltā hai mire siine meñ

    dil pighaltā hai mire siine meñ

    shīsha-o-sang muqābil aa.e

    kuchh chaTaḳhtā hai mire siine meñ

    raat bhar rāz-e-ḳhirad sirrr-e-junūñ

    dil ugaltā hai mire siine meñ

    terā ḳhat hai ki qalam hai merā

    kuchh to jaltā hai mire siine meñ

    is liye dasht se mānūs huuñ maiñ

    shahr bastā hai mire siine meñ

    bāñTte rahte haiñ vo la.al-o-gohar

    ghan barastā hai mire siine meñ

    chūḌiyāñ khankī haiñ phir raat ga.e

    husn sajtā hai mire siine meñ

    phir ḳhizāñ meñ khilā bāġhī ġhuncha

    dil laraztā hai mire siine meñ

    ism-e-sāqī vahī ism-e-āzam

    kaun japtā hai mire siine meñ

    dil mirā qurrat-o-mansūr naam

    le ke chaltā hai mire siine meñ

    be-ḳhudī aur ḳhudī taagā

    ulajhtā hai mire siine meñ

    baada 'suqrāt' vahāñ piitā hai

    dam nikaltā hai mire siine meñ

    baada 'suqrāt' se 'tal.at' ko milā

    sach panaptā hai mire siine meñ

    dagh jalta hai mere sine mein

    dil pighalta hai mere sine mein

    shisha-o-sang muqabil aae

    kuchh chaTaKHta hai mere sine mein

    raat bhar raaz-e-KHirad sirrr-e-junun

    dil ugalta hai mere sine mein

    tera KHat hai ki qalam hai mera

    kuchh to jalta hai mere sine mein

    is liye dasht se manus hun main

    shahr basta hai mere sine mein

    banTte rahte hain wo lal-o-gohar

    ghan barasta hai mere sine mein

    chuDiyan khanki hain phir raat gae

    husn sajta hai mere sine mein

    phir KHizan mein khila baghi ghuncha

    dil larazta hai mere sine mein

    ism-e-saqi wahi ism-e-azam

    kaun japta hai mere sine mein

    dil mera qurrat-o-mansur ka nam

    le ke chalta hai mere sine mein

    be-KHudi aur KHudi ka taga

    ja ulajhta hai mere sine mein

    baada 'suqraat' wahan pita hai

    dam nikalta hai mere sine mein

    baada 'suqraat' se 'talat' ko mila

    sach panapta hai mere sine mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now